tu jaanta nahin ki wo waqt-e-zawal tha
tu jaanta nahin ki wo waqt-e-zawal tha
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
tū jāntā nahīñ ki vo vaqt-e-zavāl thā
āñkhoñ kā rang karb se jis vaqt laal thā
duniyā ke sab hasīn yahī sochte rahe
kis kī nazar kā nuur thā kis kā jamāl thā
mujh se bichhaḌ ke hausle us ke bhī past the
ye kār-gāh-e-ishq meñ pahlā malāl thā
dekhā tujhe to nuur kī kirneñ umaD paḌīñ
is dasht meñ azal se charāġhoñ kā kaal thā
masrūfiyat meñ beToñ se barsī na ho sakī
guzre abhī to baap ko pahlā hī saal thā
us fāqa-kash ko faqr kī ta.alīm dījiye
chehre pe jis ke ro.ab na jāh-o-jalāl thā
maiñ ne kisī kā hijr kamāyā thā rāt-din
ab ḳharch kar rahā huuñ jo rizq-e-halāl thā
tu jaanta nahin ki wo waqt-e-zawal tha
aankhon ka rang karb se jis waqt lal tha
duniya ke sab hasin yahi sochte rahe
kis ki nazar ka nur tha kis ka jamal tha
mujh se bichhaD ke hausle us ke bhi past the
ye kar-gah-e-ishq mein pahla malal tha
dekha tujhe to nur ki kirnen umaD paDin
is dasht mein azal se charaghon ka kal tha
masrufiyat mein beTon se barsi na ho saki
guzre abhi to bap ko pahla hi sal tha
us faqa-kash ko faqr ki talim dijiye
chehre pe jis ke roab na jah-o-jalal tha
main ne kisi ka hijr kamaya tha raat-din
ab KHarch kar raha hun jo rizq-e-halal tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.