tu jab aankhon ke daere mein nahin
tū jab āñkhoñ ke dā.ere meñ nahīñ
raushnī phir kisī diye meñ nahīñ
dard hī dard hai nihāñ is meñ
aur kuchh bhī to qahqahe meñ nahīñ
rabt jis se thā zindagī jaisā
ab vahī mere rābte meñ nahīñ
ham ko kāġhaz pe vo utāregā
ham to vo haiñ jo hāshiye meñ nahīñ
shakl se jāntā huuñ maiñ lekin
aap kā naam hāfize meñ nahīñ
dekh kar pur-fitan shabāb tirā
kaun aa.egā vasvase meñ nahīñ
huuñ vahāñ par ki ham-safar to kujā
ġhair bhī koī rāste meñ nahīñ
maiñ jo huuñ tum vahī utāro bas
muskurā.ūñgā camere meñ nahīñ
tu jab aankhon ke daere mein nahin
raushni phir kisi diye mein nahin
dard hi dard hai nihan is mein
aur kuchh bhi to qahqahe mein nahin
rabt jis se tha zindagi jaisa
ab wahi mere rabte mein nahin
hum ko kaghaz pe wo utarega
hum to wo hain jo hashiye mein nahin
shakl se jaanta hun main lekin
aap ka nam hafize mein nahin
dekh kar pur-fitan shabab tera
kaun aaega waswase mein nahin
hun wahan par ki ham-safar to kuja
ghair bhi koi raste mein nahin
main jo hun tum wahi utaro bas
muskuraunga camere mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.