tu jinhen kahta hai aaina-e-sahrai dikha
tū jinheñ kahtā hai ā.īna-e-sahrā.ī dikhā
maiñ kahīñ huuñ ki nahīñ lā mujhe bīnā.ī dikhā
saañs ruk jaa.e mirī itnī bhī tāḳhīr na kar
apne bīmār pe kuchh apnī masīhā.ī dikhā
nāsehā dil pe na guzrī ho to bāteñ na banā
jab koī chhoḌ ke jaa.e to shakebā.ī dikhā
soch lo ghar se nikalte hue ab ke 'āshiq
pūchhte pahle haiñ āñchal meñ tū kyā laa.ī dikhā
jānñe vaale nazar aa.e hazāroñ lekin
is bhare shahr meñ koī na shanāsā.ī dikhā
yūñhī to hotā nahīñ 'ishq-sahīfoñ kā nuzūl
pahle ġham jhel yā phir chashm-e-tamannā.ī dikhā
sirf dā’voñ se koī baat nahīñ ban saktī
lā ke 'sādiq' sā koī ik sar-e-saudā.ī dikhā
tu jinhen kahta hai aaina-e-sahrai dikha
main kahin hun ki nahin la mujhe binai dikha
sans ruk jae meri itni bhi taKHir na kar
apne bimar pe kuchh apni masihai dikha
naseha dil pe na guzri ho to baaten na bana
jab koi chhoD ke jae to shakebai dikha
soch lo ghar se nikalte hue ab ke 'ashiq
puchhte pahle hain aanchal mein tu kya lai dikha
jaanne wale nazar aae hazaron lekin
is bhare shahr mein koi na shanasai dikha
yunhi to hota nahin 'ishq-sahifon ka nuzul
pahle gham jhel ya phir chashm-e-tamannai dikha
sirf da’won se koi baat nahin ban sakti
la ke 'sadiq' sa koi ek sar-e-saudai dikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.