tu jo pesh-e-nazar nahin rahta
tū jo pesh-e-nazar nahīñ rahtā
maiñ yuuñ mahv-e-safar nahīñ rahtā
jis pe chiḌiyoñ ke āshiyāne hoñ
vo shajar be-samar nahīñ rahtā
jab ġhizā meñ harām shāmil ho
phir du'ā meñ asar nahīñ rahtā
jis meñ hotī nahīñ hai ḳhuddārī
us ke kāñdhoñ pe sar nahīñ rahtā
ruḳhsatī beTiyoñ kī hote hī
ghar hamārā ye ghar nahīñ rahtā
dil meñ ḳhauf-e-ḳhudā ho gar 'sāhib'
phir kisī kā bhī Dar nahīñ rahtā
tu jo pesh-e-nazar nahin rahta
main yun mahw-e-safar nahin rahta
jis pe chiDiyon ke aashiyane hon
wo shajar be-samar nahin rahta
jab ghiza mein haram shamil ho
phir du'a mein asar nahin rahta
jis mein hoti nahin hai KHuddari
us ke kandhon pe sar nahin rahta
ruKHsati beTiyon ki hote hi
ghar hamara ye ghar nahin rahta
dil mein KHauf-e-KHuda ho gar 'sahib'
phir kisi ka bhi Dar nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.