tu kabhi mail-e-wafa na hua
tū kabhī mā.il-e-vafā na huā
phir bhī tujh se mujhe gila na huā
ek mauj-e-nashāt thī hastī
ġham rahā had meñ par sivā na huā
ishq thā ek sāneha dil kā
lab pe aaya to ye fasāna huā
ras Tapaktā thā un laboñ se maiñ
gāliyāñ khā ke be-maza na huā
tishna-kāmoñ kī pyaas bujh jaatī
tujh se itnā bhī sāqiyā na huā
zindagī intizār meñ guzrī
va.ada un kā koī vafā na huā
'shād' DhūñDe hazār pairā.e
phir bhī iz.hār-e-mudda.ā na huā
tu kabhi mail-e-wafa na hua
phir bhi tujh se mujhe gila na hua
ek mauj-e-nashat thi hasti
gham raha had mein par siwa na hua
ishq tha ek saneha dil ka
lab pe aaya to ye fasana hua
ras Tapakta tha un labon se main
galiyan kha ke be-maza na hua
tishna-kaamon ki pyas bujh jati
tujh se itna bhi saqiya na hua
zindagi intizar mein guzri
wada un ka koi wafa na hua
'shad' DhunDe hazar pairae
phir bhi izhaar-e-muddaa na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.