tu kahan hai mujhe o KHwab dikhane wale
tū kahāñ hai mujhe o ḳhvāb dikhāne vaale
aa ki dikhlā.ūñ tujhe maiñ tire va.adoñ kī kitāb
yaad haiñ tujh ko vo mahke hue rañgīn ḳhutūt
kis qadar pyaar se laatī thiiñ nisāboñ kī kitāb
ab koī ḳhvāb meñ dekhūñ kahāñ fursat hai mujhe
merī be-ḳhvāb nigāhoñ meñ hai yādoñ kī kitāb
ye to mumkin hai bayāñ hijr kī rūdād karūñ
hai kise taab sune ġham ke hisāboñ kī kitāb
maiñ ne aate hue har chiiz sameTī thī magar
bhuul aayā huuñ kisī taaq pe ḳhvāboñ kī kitāb
tu kahan hai mujhe o KHwab dikhane wale
aa ki dikhlaun tujhe main tere wadon ki kitab
yaad hain tujh ko wo mahke hue rangin KHutut
kis qadar pyar se lati thin nisabon ki kitab
ab koi KHwab mein dekhun kahan fursat hai mujhe
meri be-KHwab nigahon mein hai yaadon ki kitab
ye to mumkin hai bayan hijr ki rudad karun
hai kise tab sune gham ke hisabon ki kitab
main ne aate hue har chiz sameTi thi magar
bhul aaya hun kisi taq pe KHwabon ki kitab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.