Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta

Zafar Hameedi

tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta

Zafar Hameedi

MORE BYZafar Hameedi

    ḳhud bhī nahīñ aur tirā saanī nahīñ miltā

    paiġhām tirā terī zabānī nahīñ miltā

    maiñ biich samundar meñ huuñ aur pyaas se betāb

    piine ko to ik buuñd bhī paanī nahīñ miltā

    duniyā ke karishmoñ meñ muamma to yahī hai

    duniyā ke karishmāt baanī nahīñ miltā

    merā bhī to ik dost thā ġham bāñTne vaalā

    ab dasht-e-balā meñ vahī jaanī nahīñ miltā

    jo martā hai uThtā hai vo ruup badal kar

    mujh ko to yahāñ koī bhī faanī nahīñ miltā

    shahkār tasvīr mirī koī banātā

    bahzād mayassar nahīñ maanī nahīñ miltā

    kaabe ke kisī goshe meñ mil jā.egā shāyad

    but-ḳhāne meñ firdaus-makānī nahīñ miltā

    uslūb purāne haiñ to alfāz haiñ be-rañg

    nādir 'zafar' tarz-e-lisānī nahīñ miltā

    tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta

    paigham tera teri zabani nahin milta

    main bich samundar mein hun aur pyas se betab

    pine ko to ek bund bhi pani nahin milta

    duniya ke karishmon mein muamma to yahi hai

    duniya ke karishmat ka bani nahin milta

    mera bhi to ek dost tha gham banTne wala

    ab dasht-e-bala mein wahi jaani nahin milta

    jo marta hai ji uThta hai wo rup badal kar

    mujh ko to yahan koi bhi fani nahin milta

    shahkar si taswir meri koi banata

    bahzad mayassar nahin mani nahin milta

    kabe ke kisi goshe mein mil jaega shayad

    but-KHane mein firdaus-makani nahin milta

    uslub purane hain to alfaz hain be-rang

    nadir sa 'zafar' tarz-e-lisani nahin milta

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now