tu lafz lafz ban mere sher-o-suKHan mein aa
tū lafz lafz ban mire she'r-o-suḳhan meñ aa
māh-e-daraḳhshāñ jān-e-ġhazal fikr-o-fan meñ aa
badlī se chhan ke aatī ho jaise kiran meñ dhuup
tū ḳhvāb-pairahan sī sajī mere man meñ aa
kuchh husn-o-'ishq kī bhī kashish rū-barū jo ho
husn-e-nazar ai jān-e-vafā aa chaman meñ aa
tanhā.ī terī bhī tujhe kar degī zār-zār
vīrānī le ke apnī mire sūne-pan meñ aa
har ik junūñ ko had se guzarne kā daañv de
jān-o-jigar meñ aa kabhī dār-o-rasan meñ aa
ehsās terā gul kī kisī pankhuḌī sā hai
ai gul-badan kabhī to mirī anjuman meñ aa
TuuTe hue ye hausle haiñ marhale bhī haiñ
chhūne ko ruuh mere badan kī thakan meñ aa
bāteñ vafā kī kartā hai tū ġhair sā lage
paimāñ-shikan ho yaar zarā bāñkpan meñ aa
tu lafz lafz ban mere she'r-o-suKHan mein aa
mah-e-daraKHshan jaan-e-ghazal fikr-o-fan mein aa
badli se chhan ke aati ho jaise kiran mein dhup
tu KHwab-pairahan si saji mere man mein aa
kuchh husn-o-'ishq ki bhi kashish ru-baru jo ho
husn-e-nazar ai jaan-e-wafa aa chaman mein aa
tanhai teri bhi tujhe kar degi zar-zar
virani le ke apni mere sune-pan mein aa
har ek junun ko had se guzarne ka danw de
jaan-o-jigar mein aa kabhi dar-o-rasan mein aa
ehsas tera gul ki kisi pankhuDi sa hai
ai gul-badan kabhi to meri anjuman mein aa
TuTe hue ye hausle hain marhale bhi hain
chhune ko ruh mere badan ki thakan mein aa
baaten wafa ki karta hai tu ghair sa lage
paiman-shikan ho yar zara bankpan mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.