tu masiha hai teri ek ada kafi hai
tū masīhā hai tirī ek adā kaafī hai
jāñ-ba-lab ko tire dāman kī havā kaafī hai
jab bhī yaad aa.uuñ tasavvur meñ tasavvur karnā
mujh se milne ke liye itnā pata kaafī hai
merī nazroñ kī ḳhatā kam hai tire sar kī qasam
mere dilbar tire jalvoñ kī ḳhatā kaafī hai
terī furqat ne javānī kā maza chhīn liyā
chāhne vaale ko bas itnī sazā kaafī hai
kaam aate nahīñ tā-umr ye miTTī ke charāġh
aap kī yaad kā bas ek diyā kaafī hai
saarī duniyā kī duā.eñ maiñ kahāñ rakkhūñgā
merī baḳhshish ke liye maañ kī duā kaafī hai
phuul kī tarah khile haiñ tire zaḳhmoñ ke gulāb
aur kyā chāhiye 'dilkash' ye davā kaafī hai
tu masiha hai teri ek ada kafi hai
jaan-ba-lab ko tere daman ki hawa kafi hai
jab bhi yaad aaun tasawwur mein tasawwur karna
mujh se milne ke liye itna pata kafi hai
meri nazron ki KHata kam hai tere sar ki qasam
mere dilbar tere jalwon ki KHata kafi hai
teri furqat ne jawani ka maza chhin liya
chahne wale ko bas itni saza kafi hai
kaam aate nahin ta-umr ye miTTi ke charagh
aap ki yaad ka bas ek diya kafi hai
sari duniya ki duaen main kahan rakkhunga
meri baKHshish ke liye man ki dua kafi hai
phul ki tarah khile hain tere zaKHmon ke gulab
aur kya chahiye 'dilkash' ye dawa kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.