tu mayassar bhi nahin aur ham-aghosh hai tu
tū mayassar bhī nahīñ aur ham-āġhosh hai tū
mujh ko bīnā.ī hī kyoñ dī thī jo rū-posh hai tū
sūfiyoñ ne bhī tire naam ke chhalkā.e haiñ jaam
mai-kada-sāz hai tū mai-kada-bar-dosh hai tū
terā har jurm maiñ is nafs ke sar maḌhtā huuñ
dil azal se mirī nazroñ meñ subuk-dosh hai tū
terī takfīr kī ḳhaslat ko ye kyā ho gayā hai
aaj kyā baat hai har baat pe ḳhāmosh hai tū
raat ke āḳhirī taare tujhe niiñd aane lagī
mere qisse pe maiñ samjhā hama-tan-gosh hai tū
ek maiñ huuñ ki tirī chaah meñ huuñ ḳhāna-ba-dosh
aur ik tū hai ki apne meñ hī mad.hosh hai tū
terī shādābī se bā-faiz hai ye ālam-e-husn
tujh se gulshan haiñ bahāreñ haiñ siyah-posh hai tū
tu mayassar bhi nahin aur ham-aghosh hai tu
mujh ko binai hi kyon di thi jo ru-posh hai tu
sufiyon ne bhi tere nam ke chhalkae hain jam
mai-kada-saz hai tu mai-kada-bar-dosh hai tu
tera har jurm main is nafs ke sar maDhta hun
dil azal se meri nazron mein subuk-dosh hai tu
teri takfir ki KHaslat ko ye kya ho gaya hai
aaj kya baat hai har baat pe KHamosh hai tu
raat ke aaKHiri tare tujhe nind aane lagi
mere qisse pe main samjha hama-tan-gosh hai tu
ek main hun ki teri chah mein hun KHana-ba-dosh
aur ek tu hai ki apne mein hi madhosh hai tu
teri shadabi se ba-faiz hai ye aalam-e-husn
tujh se gulshan hain bahaaren hain siyah-posh hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.