tu mila to ishq ke arman mukammal ho gae
tū milā to 'ishq ke armāñ mukammal ho ga.e
dil ke darvāze hamesha ko muqaffal ho ga.e
gudḌiyoñ meñ laa'l hote haiñ ye sābit ho gayā
TaaT ke parde tire jalvoñ se maḳhmal ho ga.e
ġham kī kaalī raat ummīdoñ pe ham ne kaaT dī
jab ḳhushī kī chāñd raat aa.ī to bādal ho ga.e
dil meñ ug aa.ī haiñ itnī uljhanoñ kī jhāḌiyāñ
terī yādoñ ke jo bāġhīche the jangal ho ga.e
ab to apnā dāman-e-rahmat mirī jānib uchhāl
terī jānib phaile phaile haath bhī shal ho ga.e
tu mila to 'ishq ke arman mukammal ho gae
dil ke darwaze hamesha ko muqaffal ho gae
gudDiyon mein la'l hote hain ye sabit ho gaya
TaT ke parde tere jalwon se maKHmal ho gae
gham ki kali raat ummidon pe hum ne kaT di
jab KHushi ki chand raat aai to baadal ho gae
dil mein ug aai hain itni uljhanon ki jhaDiyan
teri yaadon ke jo baghiche the jangal ho gae
ab to apna daman-e-rahmat meri jaanib uchhaal
teri jaanib phaile phaile hath bhi shal ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.