tu mere ishq ki rudad nahin samjhega
tū mire ishq kī rūdād nahīñ samjhegā
kyuuñ mohabbat meñ huuñ barbād nahīñ samjhegā
umr bhar qaid meñ rahne kī aziyyat ko kabhī
jo parinda rahā āzād nahīñ samjhegā
ahd-e-nau se koī ummīd lagānā hai fuzūl
ab koī maqsad-e-fariyād nahīñ samjhegā
dostī kyā hai faqat dost samajh saktā hai
jis ne matlab se kiyā yaad nahīñ samjhegā
dil kī vīrān galī ham ne sajā.ī kaise
kyuuñ kiyā dard se ābād nahīñ samjhegā
tujh se maiñ shikva gila kaise karūñ 'sād' āḳhir
ye atiyya hai ḳhudā-dād nahīñ samjhegā
tu mere ishq ki rudad nahin samjhega
kyun mohabbat mein hun barbaad nahin samjhega
umr bhar qaid mein rahne ki aziyyat ko kabhi
jo parinda raha aazad nahin samjhega
ahd-e-nau se koi ummid lagana hai fuzul
ab koi maqsad-e-fariyaad nahin samjhega
dosti kya hai faqat dost samajh sakta hai
jis ne matlab se kiya yaad nahin samjhega
dil ki viran gali hum ne sajai kaise
kyun kiya dard se aabaad nahin samjhega
tujh se main shikwa gila kaise karun 'sad' aaKHir
ye atiyya hai KHuda-dad nahin samjhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.