tu mere samne hansta bhi hai rota bhi hai
tū mire sāmne hañstā bhī hai rotā bhī hai
kyā tire dil meñ koī mere 'alāva bhī hai
merā dil taḳht-e-sulaimān bhī hai mere liye
baa'z logoñ ke liye ek khilaunā bhī hai
tark-e-ulfat se bhī banjar na huī dil kī zamīñ
hijr terā mirī āñkhoñ se chhalaktā bhī hai
maiñ ne baḳhshā thā tujhe zo'm hasīñ hone kā
thoḌā sā haq to tire husn pe merā bhī hai
hijr aur vasl ke dorāhe pe maujūd huuñ maiñ
pūchhnā ye thā koī tīsrā rasta bhī hai
roz kuchh phuul darīche meñ dhare milte haiñ
kyā 'umair' apnā koī chāhne vaalā bhī hai
tu mere samne hansta bhi hai rota bhi hai
kya tere dil mein koi mere 'alawa bhi hai
mera dil taKHt-e-sulaiman bhi hai mere liye
ba'z logon ke liye ek khilauna bhi hai
tark-e-ulfat se bhi banjar na hui dil ki zamin
hijr tera meri aankhon se chhalakta bhi hai
main ne baKHsha tha tujhe zo'm hasin hone ka
thoDa sa haq to tere husn pe mera bhi hai
hijr aur wasl ke dorahe pe maujud hun main
puchhna ye tha koi tisra rasta bhi hai
roz kuchh phul dariche mein dhare milte hain
kya 'umair' apna koi chahne wala bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.