tu mere sath chal nahin sakta
tū mire saath chal nahīñ saktā
maiñ bhī rasta badal nahīñ saktā
maiñ to gir kar sañbhal bhī jā.ūñgā
tū girā to sañbhal nahīñ saktā
maiñ to Dūbūñgā hī magar tū bhī
is bhañvar se nikal nahīñ saktā
is tarah munjamid huuñ maazī meñ
āñsuoñ se pighal nahīñ saktā
lo mirā imtihāñ jo lāzim hai
maiñ kisī taur Tal nahīñ saktā
hai jo jazba tirī mohabbat meñ
mere she'roñ meñ Dhal nahīñ saktā
mulk tālib hai puḳhta-kārī kā
sirf vā'doñ pe pal nahīñ saktā
tum jalā sakte ho mujhe 'sāgar'
merā dīvān jal nahīñ saktā
tu mere sath chal nahin sakta
main bhi rasta badal nahin sakta
main to gir kar sanbhal bhi jaunga
tu gira to sanbhal nahin sakta
main to Dubunga hi magar tu bhi
is bhanwar se nikal nahin sakta
is tarah munjamid hun mazi mein
aansuon se pighal nahin sakta
lo mera imtihan jo lazim hai
main kisi taur Tal nahin sakta
hai jo jazba teri mohabbat mein
mere she'ron mein Dhal nahin sakta
mulk talib hai puKHta-kari ka
sirf wa'don pe pal nahin sakta
tum jala sakte ho mujhe 'sagar'
mera diwan jal nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.