Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu muamma hai to hal isko bhi karna hai mujhe

Mahmood Shaam

tu muamma hai to hal isko bhi karna hai mujhe

Mahmood Shaam

MORE BYMahmood Shaam

    muamma hai to hal is ko bhī karnā hai mujhe

    samundar hai to phir tah meñ utarnā hai mujhe

    ne sochā thā ki jalvoñ se bahal jā.ūñgā

    aise kitne sarāboñ se guzarnā hai mujhe

    karb jitnā hai tirī aañkh meñ barsā de magar

    isī girdāb meñ phañs kar to ubharnā hai mujhe

    phir bapā hai vahī jazbāt tūfān to kyā

    isī bigḌe hue mausam meñ sañvarnā hai mujhe

    in dinoñ chāñd tasḳhīr hai fikr ki kal

    chāñdnī ban ke zamāne meñ utarnā hai mujhe

    kis tarah chhoḌ duuñ is shahr ko ai mauj-e-nasīm

    yahīñ jiinā hai mujhe aur yahīñ marnā hai mujhe

    ruk gayā vaqt palaT aa.ī haiñ biitī sadiyāñ

    yahī vo lamha hai jab 'shām' bikharnā hai mujhe

    tu muamma hai to hal is ko bhi karna hai mujhe

    tu samundar hai to phir tah mein utarna hai mujhe

    tu ne socha tha ki jalwon se bahal jaunga

    aise kitne hi sarabon se guzarna hai mujhe

    karb jitna hai teri aankh mein barsa de magar

    isi girdab mein phans kar to ubharna hai mujhe

    phir bapa hai wahi jazbaat ka tufan to kya

    isi bigDe hue mausam mein sanwarna hai mujhe

    in dinon chand ki tasKHir ki hai fikr ki kal

    chandni ban ke zamane mein utarna hai mujhe

    kis tarah chhoD dun is shahr ko ai mauj-e-nasim

    yahin jina hai mujhe aur yahin marna hai mujhe

    ruk gaya waqt palaT aai hain biti sadiyan

    yahi wo lamha hai jab 'sham' bikharna hai mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now