tu mujhe bhul na paega bahut roega
tū mujhe bhuul na pā.egā bahut ro.egā
yaad chehra mirā aa.egā bahut ro.egā
shab-e-furqat meñ barastī huī āñkhoñ meñ kabhī
jab koī ḳhvāb sajā.egā bahut ro.egā
ḳhauf rusvā.ī ujāle meñ satā.egī use
tū charāġhoñ ko bujhā.egā bahut ro.egā
pahlī bārish se uThegī jo mahak miTTī kī
us ko sāñsoñ meñ basā.egā bahut ro.egā
jab mire pyaar ke mahke hue phūloñ ko kabhī
zīnat-e-zulf banā.egā bahut ro.egā
mujh ko ma.alūm hai tanhā.ī meñ aadat us kī
naam likh likh ke miTā.egā bahut ro.egā
us kī āñkhoñ meñ hai tasvīr mire maazī kī
aañkh darpan se milā.egā bahut ro.egā
us kī ḳhāmoshī kī zanjīr agar TūTegī
qissa-e-hijr sunā.egā bahut ro.egā
tujh ko jaanā hai agar jā mire hamrāhī magar
'sād' bin jī nahīñ pā.egā bahut ro.egā
tu mujhe bhul na paega bahut roega
yaad chehra mera aaega bahut roega
shab-e-furqat mein barasti hui aankhon mein kabhi
jab koi KHwab sajaega bahut roega
KHauf ruswai ujale mein sataegi use
tu charaghon ko bujhaega bahut roega
pahli barish se uThegi jo mahak miTTi ki
us ko sanson mein basaega bahut roega
jab mere pyar ke mahke hue phulon ko kabhi
zinat-e-zulf banaega bahut roega
mujh ko malum hai tanhai mein aadat us ki
nam likh likh ke miTaega bahut roega
us ki aankhon mein hai taswir mere mazi ki
aankh darpan se milaega bahut roega
us ki KHamoshi ki zanjir agar TuTegi
qissa-e-hijr sunaega bahut roega
tujh ko jaana hai agar ja mere hamrahi magar
'sad' bin ji nahin paega bahut roega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.