tu nahane ghaT par aaya to dariya jal gaya
tū nahāne ghaaT par aayā to dariyā jal gayā
ātish-e-ruḳh se tire jo kuchh vahāñ thā jal gayā
kyā batā.ūñ apne maiñ soz-e-darūñ kā mājrā
thā pahanñe kā irāda hī ki kurtā jal gayā
ab to ġham-ḳhāne meñ apne ik chaTā.ī bhī nahīñ
aag is ghar ko lagī aisī ki jo thā jal gayā
merī āh-e-ātishīñ kī zad meñ shaiḳh aa hī ga.e
sirf dāḌhī bach ga.ī puurā amāma jal gayā
āftāb-e-hashr kī garmī bhī kitnī baḌh ga.ī
bach ga.e aasī farishtoñ kā navishta jal gayā
bazm-e-ḳhūbāñ meñ lagī aag āh-e-sozāñ se mirī
un kī saarī jal ga.ī un kā dupaTTā jal gayā
Thiik 'ġhālib' hī ke dil kī tarah thā 'hāshim' kā dil
dekh kar tarz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā
tu nahane ghaT par aaya to dariya jal gaya
aatish-e-ruKH se tere jo kuchh wahan tha jal gaya
kya bataun apne main soz-e-darun ka majra
tha pahanne ka irada hi ki kurta jal gaya
ab to gham-KHane mein apne ek chaTai bhi nahin
aag is ghar ko lagi aisi ki jo tha jal gaya
meri aah-e-atishin ki zad mein shaiKH aa hi gae
sirf daDhi bach gai pura amama jal gaya
aaftab-e-hashr ki garmi bhi kitni baDh gai
bach gae aasi farishton ka nawishta jal gaya
bazm-e-KHuban mein lagi aag aah-e-sozan se meri
un ki sari jal gai un ka dupaTTa jal gaya
Thik 'ghaalib' hi ke dil ki tarah tha 'hashim' ka dil
dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.