tu nahin gham bhi tera pyara hai
tū nahīñ ġham bhī terā pyārā hai
ik daf'a kah de tū hamārā hai
sah rahe haiñ sitam zamāne ke
ye hamārā qusūr saarā hai
ghar kī dīvār ho bhale hī gum
ye zamīñ āsmāñ hamārā hai
is zamāne se māñgnā kaisā
mere rab kā mujhe sahārā hai
apnā īmān bech duuñ kaise
bas yahī to nahīñ gavārā hai
aadmī huuñ maiñ devtā to nahīñ
vaqt mushkil agar guzārā hai
khel dil kā baḌā 'ajab yaaro
jo bhī jiitā vahī to haarā hai
tu nahin gham bhi tera pyara hai
ek daf'a kah de tu hamara hai
sah rahe hain sitam zamane ke
ye hamara qusur sara hai
ghar ki diwar ho bhale hi gum
ye zamin aasman hamara hai
is zamane se mangna kaisa
mere rab ka mujhe sahaara hai
apna iman bech dun kaise
bas yahi to nahin gawara hai
aadmi hun main dewta to nahin
waqt mushkil agar guzara hai
khel dil ka baDa 'ajab yaro
jo bhi jita wahi to haara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.