tu ne hi har qadam pe diya hausla mujhe
tū ne hī har qadam pe diyā hausla mujhe
yārab nahīñ hai tere sivā aasrā mujhe
ik baar us ne kah to diyā dilrubā mujhe
taktā rahā maiñ aa.ine ko aa.ina mujhe
jin ke liye sanad thī mirī baat kal talak
dene lage haiñ aaj vahī mashvara mujhe
college meñ is liye bhī to jaatā rahā ki vo
ai kaash ik nazar hī sahī dekhtā mujhe
nārāz apne aap se huuñ maan yā na maan
tujh se shikāyateñ haiñ na koī gila mujhe
har aan har ḳhushī hai milī is ke bāvajūd
kyoñ lag rahī hai zindagī merī sazā mujhe
hāfiz mirā ḳhudā hai so kahnā fuzūl hai
apne sivā kisī kā nahīñ aasrā mujhe
is 'ain shiin qaaf meñ ik pal sukūñ nahīñ
detā hai jaise 'rāhī' koī bad-du'ā mujhe
tu ne hi har qadam pe diya hausla mujhe
yarab nahin hai tere siwa aasra mujhe
ek bar us ne kah to diya dilruba mujhe
takta raha main aaine ko aaina mujhe
jin ke liye sanad thi meri baat kal talak
dene lage hain aaj wahi mashwara mujhe
college mein is liye bhi to jata raha ki wo
ai kash ek nazar hi sahi dekhta mujhe
naraaz apne aap se hun man ya na man
tujh se shikayaten hain na koi gila mujhe
har aan har KHushi hai mili is ke bawajud
kyon lag rahi hai zindagi meri saza mujhe
hafiz mera KHuda hai so kahna fuzul hai
apne siwa kisi ka nahin aasra mujhe
is 'ain shin qaf mein ek pal sukun nahin
deta hai jaise 'rahi' koi bad-du'a mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.