tu ne jab dil mein hai taswir basai meri
tu ne jab dil mein hai taswir basai meri
Syed Iqbal Rizvi Sharib
MORE BYSyed Iqbal Rizvi Sharib
tū ne jab dil meñ hai tasvīr basā.ī merī
kyoñ na ho phir tirī sochoñ meñ rasā.ī merī
jab bhī bichhḌā to milā Tuut ke vāpas mujh se
shukr hai kaam to kuchh aa.ī judā.ī merī
us ne bhī paañv ke chhāloñ kī du'ā maañg hī lī
us se dekhī na ga.ī ābla-pā.ī merī
ham-safar ne mujhe har gaam pe baḌh kar thāmā
varna taqdīr hī ho jaatī tabāhī merī
us ke iz.hār-e-tanaffur ne baḌhā dī qurbat
achchhī lagne lagī phir us ko DhiTā.ī merī
daad detā rahā ḳhud apne hī ash'ār pe maiñ
is salīqe se ġhazal us ne sunā.ī merī
maiñ tashakkur meñ hī Duubā rahūñ har dam 'shārib'
zindagī yuuñ mire ḳhāliq ne sajā.ī merī
tu ne jab dil mein hai taswir basai meri
kyon na ho phir teri sochon mein rasai meri
jab bhi bichhDa to mila Tut ke wapas mujh se
shukr hai kaam to kuchh aai judai meri
us ne bhi panw ke chhaalon ki du'a mang hi li
us se dekhi na gai aabla-pai meri
ham-safar ne mujhe har gam pe baDh kar thama
warna taqdir hi ho jati tabahi meri
us ke izhaar-e-tanaffur ne baDha di qurbat
achchhi lagne lagi phir us ko DhiTai meri
dad deta raha KHud apne hi ash'ar pe main
is saliqe se ghazal us ne sunai meri
main tashakkur mein hi Duba rahun har dam 'shaarib'
zindagi yun mere KHaliq ne sajai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.