tu ne kaisa ye sitam ai sitam-ijad kiya
tū ne kaisā ye sitam ai sitam-ījād kiyā
bāġhbāñ ban ke gulistāñ hī ko barbād kiyā
vāqi.a ye hai abhī sirf qafas badlā hai
ham ye samjhe the ki sayyād ne āzād kiyā
sarfaroshī mirī jur.at ne atā kī mujh ko
daur-e-hāzir ne agar aap ko jallād kiyā
laa.e duniyā mire zabt-e-ġham-e-daurāñ kī misāl
jaan de dī na magar shikva-e-bedād kiyā
yaad meñ jis kī zamāne ko bhulāyā ham ne
bhuul kar bhī na kabhī us ne hameñ yaad kiyā
tere har vaar ko sahne ke liye ham ne bhī
sang siine ko kiyā qalb ko faulād kiyā
tu ne kaisa ye sitam ai sitam-ijad kiya
baghban ban ke gulistan hi ko barbaad kiya
waqia ye hai abhi sirf qafas badla hai
hum ye samjhe the ki sayyaad ne aazad kiya
sarfaroshi meri jurat ne ata ki mujh ko
daur-e-hazir ne agar aap ko jallad kiya
lae duniya mere zabt-e-gham-e-dauran ki misal
jaan de di na magar shikwa-e-bedad kiya
yaad mein jis ki zamane ko bhulaya hum ne
bhul kar bhi na kabhi us ne hamein yaad kiya
tere har war ko sahne ke liye hum ne bhi
sang sine ko kiya qalb ko faulad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.