tu ne KHanjar meri gardan pe na phera achchha
tu ne KHanjar meri gardan pe na phera achchha
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
tū ne ḳhanjar mirī gardan pe na pherā achchhā
achchhā achchhā are o jaan ke levā achchhā
sair achchhī hai hujūm achchhā hai melā achchhā
haq to ye hai ki hai duniyā kā tamāshā achchhā
sar mirā kaaT ke kis naaz se farmāte haiñ
kas liyā ham ne ye ḳhanjar hai hamārā achchhā
dard jab uThtā hai mujh ko bhī uThā detā hai
nā-tavānī ke liye hai ye sahārā achchhā
phir chale ġhair kī jānib nigah-e-nāz ke tiir
kyoñ nishāna vahī phir aap ne taakā achchhā
vaah kyā ḳhuub mire dil kī lagī hai qīmat
kahte haiñ muft agar do to hai saudā achchhā
ek vo lākhoñ ḳharīdār baḌhe nirḳh na kyoñ
aur phir nām-e-ḳhudā maal hai kaisā achchhā
sub.h ko lutf hai tafrīh kā dariyā ko chalo
vaqt-e-ḳhush sair-e-ḳhush-āiñd tamāshā achchhā
mol lo tum mirā dil khoTe hī dāmoñ ko sahī
mujh ko to fā.edoñ se hai ye ḳhasārā achchhā
chār-dīvār-e-chaman apne liye zindāñ hai
ham se dīvānoñ ko hai baaġh se sahrā achchhā
munqabiz hai jo tabī.at to chaman jangal hai
dil shagufta hai to gulzār se sahrā achchhā
dekh kar baaġh kī dīvāroñ ko dam ghuTtā hai
bulbuloñ ko ye mubārak hameñ sahrā achchhā
mas.ala Thiik hai ye jins ko hai jins se mail
kyoñ na chāhe tumheñ dil dil hai hamārā achchhā
ye hai sūrat ise kahte haiñ ḳhudā-dād jamāl
hūroñ se hai tirī tasvīr kā ḳhāka achchhā
dil mirā lete ho qīmat nahīñ dete mujh ko
tum sakhī kaise ho lene se hai denā achchhā
ruuh se baḌh ke tirā nīmcha pyārā hai mujhe
rag-e-jāñ se tirī talvār kā Dorā achchhā
bazm-e-hastī se uThe jo vo yahī kah ke uThe
dil lagā ḳhuub yahāñ hai ye tamāshā achchhā
shaiḳh ho yā koī sayyad ho koī ho 'akbar'
ḳhush rahe jis se ḳhudā hai vahī bandā achchhā
tu ne KHanjar meri gardan pe na phera achchha
achchha achchha are o jaan ke lewa achchha
sair achchhi hai hujum achchha hai mela achchha
haq to ye hai ki hai duniya ka tamasha achchha
sar mera kaT ke kis naz se farmate hain
kas liya hum ne ye KHanjar hai hamara achchha
dard jab uThta hai mujh ko bhi uTha deta hai
na-tawani ke liye hai ye sahaara achchha
phir chale ghair ki jaanib nigah-e-naz ke tir
kyon nishana wahi phir aap ne taka achchha
wah kya KHub mere dil ki lagi hai qimat
kahte hain muft agar do to hai sauda achchha
ek wo lakhon KHaridar baDhe nirKH na kyon
aur phir nam-e-KHuda mal hai kaisa achchha
subh ko lutf hai tafrih ka dariya ko chalo
waqt-e-KHush sair-e-KHush-aind tamasha achchha
mol lo tum mera dil khoTe hi damon ko sahi
mujh ko to faedon se hai ye KHasara achchha
chaar-diwar-e-chaman apne liye zindan hai
hum se diwanon ko hai bagh se sahra achchha
munqabiz hai jo tabiat to chaman jangal hai
dil shagufta hai to gulzar se sahra achchha
dekh kar bagh ki diwaron ko dam ghuTta hai
bulbulon ko ye mubarak hamein sahra achchha
masala Thik hai ye jins ko hai jins se mail
kyon na chahe tumhein dil dil hai hamara achchha
ye hai surat ise kahte hain KHuda-dad jamal
huron se hai teri taswir ka KHaka achchha
dil mera lete ho qimat nahin dete mujh ko
tum sakhi kaise ho lene se hai dena achchha
ruh se baDh ke tera nimcha pyara hai mujhe
rag-e-jaan se teri talwar ka Dora achchha
bazm-e-hasti se uThe jo wo yahi kah ke uThe
dil laga KHub yahan hai ye tamasha achchha
shaiKH ho ya koi sayyad ho koi ho 'akbar'
KHush rahe jis se KHuda hai wahi banda achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.