tu ne kitna farq ai betabi-e-dil kar diya
tū ne kitnā farq ai betābī-e-dil kar diyā
saañs lenā bhī vufūr-e-ġham se mushkil kar diyā
kaash mujh se chhīn letā merī taḳh.īl-e-vasī.a
dil ke ḳhalvat-ḳhāne ko jab rashk-e-mahfil kar diyā
maiñ to qaa.il huuñ tirā ai mālik-e-soz-o-gudāz
kuchh na thā dil ishq ne lekin ise dil kar diyā
kitnā aage baḌh gayā huuñ manzil-e-maqsūd se
tū ne mujh ko aur bhī gum shauq-e-manzil kar diyā
us ke e.ajāz-e-mohabbat par huuñ ai 'sāqib' nisār
ishq kī be-hāsilī ko jis ne hāsil kar diyā
tu ne kitna farq ai betabi-e-dil kar diya
sans lena bhi wufur-e-gham se mushkil kar diya
kash mujh se chhin leta meri taKHil-e-wasia
dil ke KHalwat-KHane ko jab rashk-e-mahfil kar diya
main to qail hun tera ai malik-e-soz-o-gudaz
kuchh na tha dil ishq ne lekin ise dil kar diya
kitna aage baDh gaya hun manzil-e-maqsud se
tu ne mujh ko aur bhi gum shauq-e-manzil kar diya
us ke eajaz-e-mohabbat par hun ai 'saqib' nisar
ishq ki be-hasili ko jis ne hasil kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.