tu ne koshish zara bhi ki hi nahin
tū ne koshish zarā bhī kī hī nahīñ
varna ye naav Dūbtī hī nahīñ
is mohabbat meñ TūTnā dil kā
farz hotā hai lāzmī hī nahīñ
'ishq kā ye dayār hai sāhib
hai ḳhudā bhī yahāñ ḳhudī hī nahīñ
kaan kab se lagā.e baiThī huuñ
koī bhī aañkh boltī hī nahīñ
chaak pe rakkhī rah ga.ī miTTī
koī taḳhlīq to huī hī nahīñ
maut panje gaḌā.e hai apne
zindagī mujh ko chhīntī hī nahīñ
har musavvir kā us pe da.avā hai
ek tasvīr jo banī hī nahīñ
vaqt us ne diyā hai milne kā
aur mire paas meñ ghaḌī hī nahīñ
koī 'saritā' hai is qadar mujh meñ
us se haT kar ġhazal huī hī nahīñ
tu ne koshish zara bhi ki hi nahin
warna ye naw Dubti hi nahin
is mohabbat mein TuTna dil ka
farz hota hai lazmi hi nahin
'ishq ka ye dayar hai sahib
hai KHuda bhi yahan KHudi hi nahin
kan kab se lagae baiThi hun
koi bhi aankh bolti hi nahin
chaak pe rakkhi rah gai miTTi
koi taKHliq to hui hi nahin
maut panje gaDae hai apne
zindagi mujh ko chhinti hi nahin
har musawwir ka us pe dawa hai
ek taswir jo bani hi nahin
waqt us ne diya hai milne ka
aur mere pas mein ghaDi hi nahin
koi 'sarita' hai is qadar mujh mein
us se haT kar ghazal hui hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.