tu ne mujhko ji liya ye kya hua
tū ne mujh ko jī liyā ye kyā huā
tū to thī merī sazā ye kyā huā
us ko mere chāk-e-dāman the pasand
tū ne kyūñkar sī liyā ye kyā huā
merī qismat kī thiiñ vo nākāmiyāñ
ashk jo tū ne piyā ye kyā huā
yaad ā.ūñgā jo palToge varaq
dukh ko ḳhushiyoñ meñ jiyā ye kyā huā
hijr kā dāman ThiThurtā barf thā
kāñgḌī meñ vo jalā ye kyā huā
tujh ko thā mā'lūm rahzan hai vahāñ
luT chukā hai qāfila ye kyā huā
kaisī hai mahtāb terī raushnī
ghar hī kirnoñ se jalā ye kyā huā
muddatoñ se naama laa.ī thī havā
ghar pe taalā thā paḌā ye kyā huā
tū ne bhī chhū hī liyā us kā badan
hijr meñ hī thā mazā ye kyā huā
zindagī ke dard-o-ġham kā vāqi'a
dāstānoñ meñ Dhalā ye kyā huā
tu ne mujh ko ji liya ye kya hua
tu to thi meri saza ye kya hua
us ko mere chaak-e-daman the pasand
tu ne kyunkar si liya ye kya hua
meri qismat ki thin wo nakaamiyan
ashk jo tu ne piya ye kya hua
yaad aaunga jo palToge waraq
dukh ko KHushiyon mein jiya ye kya hua
hijr ka daman ThiThurta barf tha
kangDi mein wo jala ye kya hua
tujh ko tha ma'lum rahzan hai wahan
luT chuka hai qafila ye kya hua
kaisi hai mahtab teri raushni
ghar hi kirnon se jala ye kya hua
muddaton se nama lai thi hawa
ghar pe tala tha paDa ye kya hua
tu ne bhi chhu hi liya us ka badan
hijr mein hi tha maza ye kya hua
zindagi ke dard-o-gham ka waqi'a
dastanon mein Dhala ye kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.