tu ne mujhko na ghazal-goi ata ki hoti
tū ne mujh ko na ġhazal-goī 'atā kī hotī
maiñ bhī tanhā.ī meñ dīvār se bāteñ kartā
tujh pe hī rāz-e-tamanna ke sabhī dar khole
kyā tujhe chhoḌ ke aġhyār se bāteñ kartā
'ain mumkin thā ki andar kī ghuTan ghaT jaatī
koī hotā tire bīmār se bāteñ kartā
rang bharnā thā kahānī meñ haqīqat kā tujhe
apne likkhe hue kirdār se bāteñ kartā
merī ġhairat ye gavāra nahīñ kartī hai ki maiñ
apne hī mulk ke ġhaddār se bāteñ kartā
tu ne mujh ko na ghazal-goi 'ata ki hoti
main bhi tanhai mein diwar se baaten karta
tujh pe hi raaz-e-tamanna ke sabhi dar khole
kya tujhe chhoD ke aghyar se baaten karta
'ain mumkin tha ki andar ki ghuTan ghaT jati
koi hota tere bimar se baaten karta
rang bharna tha kahani mein haqiqat ka tujhe
apne likkhe hue kirdar se baaten karta
meri ghairat ye gawara nahin karti hai ki main
apne hi mulk ke ghaddar se baaten karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.