tu ne nazron se kai log girae honge
tū ne nazroñ se ka.ī log girā.e hoñge
ham nahīñ pahle bhī kuchh log rulā.e hoñge
shahr kā shahr jo phirtā hai 'ajab hāloñ meñ
tū ne āñkhoñ se unheñ jaam pilā.e hoñge
jin ke lahjoñ meñ alam bātoñ meñ dukh miltā hai
merā andāza hai sab tere satā.e hoñge
ham jo har haal meñ dete haiñ du'ā.eñ tujh ko
jaane kis farz meñ kyā qarz uThā.e hoñge
kitne dil-dār tirī laash se lipTe hoñge
kitne ġham-ḳhvār tirī maut pe aa.e hoñge
tu ne nazron se kai log girae honge
hum nahin pahle bhi kuchh log rulae honge
shahr ka shahr jo phirta hai 'ajab haalon mein
tu ne aankhon se unhen jam pilae honge
jin ke lahjon mein alam baaton mein dukh milta hai
mera andaza hai sab tere satae honge
hum jo har haal mein dete hain du'aen tujh ko
jaane kis farz mein kya qarz uThae honge
kitne dil-dar teri lash se lipTe honge
kitne gham-KHwar teri maut pe aae honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.