tu parastish ko jo nikle to yun dam-bhar nikle
tū parastish ko jo nikle to yuuñ dam-bhar nikle
but-kade se bhī kisī roz payambar nikle
rāh-rau saath nibhāne kā bharam de mujh ko
ḳhuub mumkin hai bharam saath se behtar nikle
nam kiye zulf-e-shikan vo jo sar-e-bām aa.e
jaise sūraj kahīñ dariyā se vuzū kar nikle
dard ko pāltā huuñ aañkh ke pathrāne tak
aur rokūñ to pahāḌoñ se samundar nikle
sham.a-e-ḳhāmosh pe aa kar ke havā jyuuñ guzrī
Thiik kuchh ham pe tirī yaad ke lashkar nikle
baad mere tujhe rone ko vahī shaḳhs mile
jis kā shāna mire shāne ke barābar nikle
tu parastish ko jo nikle to yun dam-bhar nikle
but-kade se bhi kisi roz payambar nikle
rah-rau sath nibhane ka bharam de mujh ko
KHub mumkin hai bharam sath se behtar nikle
nam kiye zulf-e-shikan wo jo sar-e-baam aae
jaise suraj kahin dariya se wuzu kar nikle
dard ko palta hun aankh ke pathrane tak
aur rokun to pahaDon se samundar nikle
shama-e-KHamosh pe aa kar ke hawa jyun guzri
Thik kuchh hum pe teri yaad ke lashkar nikle
baad mere tujhe rone ko wahi shaKHs mile
jis ka shana mere shane ke barabar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.