tu pazhmurda peDon ko yun ba-samar rakh
tu pazhmurda peDon ko yun ba-samar rakh
Syed Khadime Rasul Aini
MORE BYSyed Khadime Rasul Aini
tū pazhmurda peḌoñ ko yuuñ bā-samar rakh
tavānā.ī de shāḳh ko bā-asar rakh
na kar faḳhr ajdād ke tū shajar par
tū shāḳhoñ pe ḳhud kāvishoñ kā samar rakh
hai inkār karnā bahut sahl-o-āsāñ
tū iqrār kā hausla ai bashar rakh
zamīnī haqā.eq raheñ tere aage
nazar apnī chāhe sadā charḳh par rakh
na ho jaa.e mānind-e-ātish sarāpā
mire dil kī ai jān-e-jānāñ ḳhabar rakh
kar ihqāq-e-haq aur ibtāl-e-bātil
ye jazba har ik moḌ par be-ḳhatar rakh
sabhī kī mohabbat samā jaa.e dil meñ
tū is meñ hamesha mohabbat kā ghar rakh
guhar ḳhud hī aa jā.egā paas 'ainī'
nihāyat pe manzil kī gahrī nazar rakh
tu pazhmurda peDon ko yun ba-samar rakh
tawanai de shaKH ko ba-asar rakh
na kar faKHr ajdad ke tu shajar par
tu shaKHon pe KHud kawishon ka samar rakh
hai inkar karna bahut sahl-o-asan
tu iqrar ka hausla ai bashar rakh
zamini haqaeq rahen tere aage
nazar apni chahe sada charKH par rakh
na ho jae manind-e-atish sarapa
mere dil ki ai jaan-e-jaanan KHabar rakh
kar ihqaq-e-haq aur ibtal-e-baatil
ye jazba har ek moD par be-KHatar rakh
sabhi ki mohabbat sama jae dil mein
tu is mein hamesha mohabbat ka ghar rakh
guhar KHud hi aa jaega pas 'aini'
nihayat pe manzil ki gahri nazar rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.