Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu pazhmurda peDon ko yun ba-samar rakh

Syed Khadime Rasul Aini

tu pazhmurda peDon ko yun ba-samar rakh

Syed Khadime Rasul Aini

MORE BYSyed Khadime Rasul Aini

    pazhmurda peḌoñ ko yuuñ bā-samar rakh

    tavānā.ī de shāḳh ko bā-asar rakh

    na kar faḳhr ajdād ke shajar par

    shāḳhoñ pe ḳhud kāvishoñ samar rakh

    hai inkār karnā bahut sahl-o-āsāñ

    iqrār hausla ai bashar rakh

    zamīnī haqā.eq raheñ tere aage

    nazar apnī chāhe sadā charḳh par rakh

    na ho jaa.e mānind-e-ātish sarāpā

    mire dil ai jān-e-jānāñ ḳhabar rakh

    kar ihqāq-e-haq aur ibtāl-e-bātil

    ye jazba har ik moḌ par be-ḳhatar rakh

    sabhī mohabbat samā jaa.e dil meñ

    is meñ hamesha mohabbat ghar rakh

    guhar ḳhud aa jā.egā paas 'ainī'

    nihāyat pe manzil gahrī nazar rakh

    tu pazhmurda peDon ko yun ba-samar rakh

    tawanai de shaKH ko ba-asar rakh

    na kar faKHr ajdad ke tu shajar par

    tu shaKHon pe KHud kawishon ka samar rakh

    hai inkar karna bahut sahl-o-asan

    tu iqrar ka hausla ai bashar rakh

    zamini haqaeq rahen tere aage

    nazar apni chahe sada charKH par rakh

    na ho jae manind-e-atish sarapa

    mere dil ki ai jaan-e-jaanan KHabar rakh

    kar ihqaq-e-haq aur ibtal-e-baatil

    ye jazba har ek moD par be-KHatar rakh

    sabhi ki mohabbat sama jae dil mein

    tu is mein hamesha mohabbat ka ghar rakh

    guhar KHud hi aa jaega pas 'aini'

    nihayat pe manzil ki gahri nazar rakh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now