Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu rang-e-kaenat se upar ki baat hai

Khalid Azad

tu rang-e-kaenat se upar ki baat hai

Khalid Azad

MORE BYKhalid Azad

    rang-e-kā.enāt se uupar baat hai

    ye ḳhvāb merī zaat se uupar baat hai

    shāyad maiñ le ke jā.ūñ use āsmāñ talak

    ye ġham tirā hayāt se uupar baat hai

    ab tak samajh na paa.e vo chhoḌī kamān kyoñ

    ye jiit aur maat se uupar baat hai

    paanī to mil jaatā jo karte vo aarzū

    ye dajla-o-furāt se uupar baat hai

    sīkhā hai kachchī umr se peT kāTnā

    hālāt tajrabāt se uupar baat hai

    shāyad havā kare bhī hifāzat charāġh

    lekin ye mumkināt se uupar baat hai

    tu rang-e-kaenat se upar ki baat hai

    ye KHwab meri zat se upar ki baat hai

    shayad main le ke jaun use aasman talak

    ye gham tera hayat se upar ki baat hai

    ab tak samajh na pae wo chhoDi kaman kyon

    ye jit aur mat se upar ki baat hai

    pani to mil hi jata jo karte wo aarzu

    ye dajla-o-furaat se upar ki baat hai

    sikha hai kachchi umr se hi peT kaTna

    haalat tajrabaat se upar ki baat hai

    shayad hawa kare bhi hifazat charagh ki

    lekin ye mumkinat se upar ki baat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now