Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu sahib-e-jamal bhi hai ba-basar bhi hai

Mohammad Mustahsan Jami

tu sahib-e-jamal bhi hai ba-basar bhi hai

Mohammad Mustahsan Jami

MORE BYMohammad Mustahsan Jami

    sāhib-e-jamāl bhī hai bā-basar bhī hai

    ye terā infirād hai kūza-gar bhī hai

    aa to ga.e haiñ dasht-e-mohabbat meñ qāfile

    lekin koī farīq-e-junūñ mo'atabar bhī hai

    pahuñchegī merī naav bhalā kis tarah ki aaj

    tūfān bhī hai raah meñ haa.il bhañvar bhī hai

    mumkin hai merā zikr samā.at pe baar ho

    qissa mirā tavīl bhī hai muḳhtasar bhī hai

    sab ke liye hai ishq rasta judā-judā

    āsān bhī hai aur kahīñ pur-ḳhatar bhī hai

    vo dil dhaḌkanoñ meñ bhī raqsāñ hai har ghaḌī

    ma.ashūq-e-be-misāl hai nūr-e-nazar bhī hai

    yūñhī guzārī jā.egī kyā zindagī 'razā'

    ḳhvāhishoñ qaid se koī mafar bhī hai

    tu sahib-e-jamal bhi hai ba-basar bhi hai

    ye tera infirad hai tu kuza-gar bhi hai

    aa to gae hain dasht-e-mohabbat mein qafile

    lekin koi fariq-e-junun mo'atabar bhi hai

    pahunchegi meri naw bhala kis tarah ki aaj

    tufan bhi hai rah mein hail bhanwar bhi hai

    mumkin hai mera zikr samaat pe bar ho

    qissa mera tawil bhi hai muKHtasar bhi hai

    sab ke liye hai ishq ka rasta juda-juda

    aasan bhi hai aur kahin pur-KHatar bhi hai

    wo dil ki dhaDkanon mein bhi raqsan hai har ghaDi

    mashuq-e-be-misal hai nur-e-nazar bhi hai

    yunhi guzari jaegi kya zindagi 'raza'

    ya KHwahishon ki qaid se koi mafar bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now