tu sitam aur kar ek achchhi kahani ke liye
tū sitam aur kar ik achchhī kahānī ke liye
ik nishāñ kam hai mirī jaan nishānī ke liye
tū kisī aur ko detā mirī tahrīr-e-hayāt
shaḳhs maiñ Thiik nahīñ merī kahānī ke liye
maiñ kahāñ jā.ūñ ki merā to koī ghar bhī nahīñ
ik Thikānā bhī to ho naql-e-makānī ke liye
pyaas se duur bachā ke kahīñ dariyā ko rakho
nazreñ achchhī nahīñ hai pyaas kī paanī ke liye
tu sitam aur kar ek achchhi kahani ke liye
ek nishan kam hai meri jaan nishani ke liye
tu kisi aur ko deta meri tahrir-e-hayat
shaKHs main Thik nahin meri kahani ke liye
main kahan jaun ki mera to koi ghar bhi nahin
ek Thikana bhi to ho naql-e-makani ke liye
pyas se dur bacha ke kahin dariya ko rakho
nazren achchhi nahin hai pyas ki pani ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.