tu to ek sans ki muhtaj hai tera kya hai
tū to ik saañs kī muhtāj hai terā kyā hai
zindagī tū hī batā terā bharosā kyā hai
nit-na.e rang badaltī hai tamāshā kyā hai
ai zamīñ kuchh to batā terā irāda kyā hai
us ko nairangī-e-afsūñ kā karishma kahiye
varna ye dair-o-haram kyā haiñ kalīsā kyā hai
jo bhī honā thā huā aur jo honā hai so ho
tū salāmat rahe ai dost hamārā kyā hai
terī mai-bār nigāhoñ kā tamannā.ī huuñ
maiñ nahīñ jāntā jām-o-mai-o-mīnā kyā hai
ġhair to ġhair haiñ apnoñ se bhī khāte na fareb
kaash pahle se samajh lete ki duniyā kyā hai
tu to ek sans ki muhtaj hai tera kya hai
zindagi tu hi bata tera bharosa kya hai
nit-nae rang badalti hai tamasha kya hai
ai zamin kuchh to bata tera irada kya hai
us ko nairangi-e-afsun ka karishma kahiye
warna ye dair-o-haram kya hain kalisa kya hai
jo bhi hona tha hua aur jo hona hai so ho
tu salamat rahe ai dost hamara kya hai
teri mai-bar nigahon ka tamannai hun
main nahin jaanta jam-o-mai-o-mina kya hai
ghair to ghair hain apnon se bhi khate na fareb
kash pahle se samajh lete ki duniya kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.