tu wo charagh jo hama-shab zau-fishan rahe
tū vo charāġh jo hama-shab zau-fishāñ rahe
maiñ vo diyā ki shaam se jis meñ dhuāñ rahe
is vāste ki bichhḌeñ to ham dost hī raheñ
kuchh fāsla bhī tere mire darmiyāñ rahe
maiñ aise ajnabī kī tarah huuñ jahān meñ
jis se kisī ne ye bhī na pūchhā kahāñ rahe
kuchh zindagī bhī ham se bahut ḳhush-gumāñ na thī
kuchh ham bhī zindagī se bahut bad-gumāñ rahe
haiñ log apne aap se kis darja mutma.in
āḳhir mujhī pe aib mire kyoñ ayaañ rahe
tu wo charagh jo hama-shab zau-fishan rahe
main wo diya ki sham se jis mein dhuan rahe
is waste ki bichhDen to hum dost hi rahen
kuchh fasla bhi tere mere darmiyan rahe
main aise ajnabi ki tarah hun jahan mein
jis se kisi ne ye bhi na puchha kahan rahe
kuchh zindagi bhi hum se bahut KHush-guman na thi
kuchh hum bhi zindagi se bahut bad-guman rahe
hain log apne aap se kis darja mutmain
aaKHir mujhi pe aib mere kyon ayan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.