tu zamane ki jaan hai ki nahin
tū zamāne kī jaan hai ki nahīñ
tujh pe martā jahān hai ki nahīñ
dil bhī deñ jaan bhī nisār kareñ
ye kaḌā imtihān hai ki nahīñ
zāhid un ke niyāz-mandoñ meñ
be-niyāzī kī shaan hai ki nahīñ
gāliyāñ aap kī sunūñ kab tak
mere muñh meñ zabān hai ki nahīñ
aglā va.ada vo aglā qaul-o-qarār
yaad kuchh mehrbān hai ki nahīñ
kaun de jaan in hasīnoñ par
jaan hai to jahān hai ki nahīñ
dil churāyā hai tum ne 'muztar' kā
sach hamārā gumān hai ki nahīñ
tu zamane ki jaan hai ki nahin
tujh pe marta jahan hai ki nahin
dil bhi den jaan bhi nisar karen
ye kaDa imtihan hai ki nahin
zahid un ke niyaz-mandon mein
be-niyazi ki shan hai ki nahin
galiyan aap ki sunun kab tak
mere munh mein zaban hai ki nahin
agla wada wo agla qaul-o-qarar
yaad kuchh mehrban hai ki nahin
kaun de jaan in hasinon par
jaan hai to jahan hai ki nahin
dil churaya hai tum ne 'muztar' ka
sach hamara guman hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.