tufan-e-bala se jo main bach kar guzar aaya
tūfān-e-balā se jo maiñ bach kar guzar aayā
vo pūchh ke sahrā se pata mere ghar aayā
āġhāz-e-tamannā ho ki anjām-e-tamannā
ilzām bahar-hāl hamāre hī sar aayā
is meñ to koī dil kī ḳhatā ho nahīñ saktī
jab aañkh lagī aap kā chehra nazar aayā
bastī meñ mirī kaj-kulahī jurm huī hai
dekhūñgā agar ab koī patthar idhar aayā
aayā tirī mahfil meñ jo bhūle se mirā naam
āñkhoñ meñ zamāne kī vahīñ ḳhuun utar aayā
aisā bhī kahīñ tark-e-ta.alluq meñ huā hai
naama koī aayā na koī nāma-bar aayā
fan hai vo samundar ki kināra nahīñ jis kā
Duubā huuñ 'muzaffar' to mirā naam ubhar aayā
tufan-e-bala se jo main bach kar guzar aaya
wo puchh ke sahra se pata mere ghar aaya
aaghaz-e-tamanna ho ki anjam-e-tamanna
ilzam bahar-haal hamare hi sar aaya
is mein to koi dil ki KHata ho nahin sakti
jab aankh lagi aap ka chehra nazar aaya
basti mein meri kaj-kulahi jurm hui hai
dekhunga agar ab koi patthar idhar aaya
aaya teri mahfil mein jo bhule se mera nam
aankhon mein zamane ki wahin KHun utar aaya
aisa bhi kahin tark-e-talluq mein hua hai
nama koi aaya na koi nama-bar aaya
fan hai wo samundar ki kinara nahin jis ka
Duba hun 'muzaffar' to mera nam ubhar aaya
- Book : kamaan (Pg. 210)
- Author : muzaffar hanfi
- Publication : arshia publication (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.