tufan hai agar ghar ke darpai yun baiTh na jao kuchh to karo
tufan hai agar ghar ke darpai yun baiTh na jao kuchh to karo
Ahmad Nadeem Qasmi
MORE BYAhmad Nadeem Qasmi
tūfāñ hai agar ghar ke darpai yuuñ baiTh na jaao kuchh to karo
khiḌkī ke shikasta shīshe par kāġhaz hī lagāo kuchh to karo
insān ke qabza-e-qudrat meñ ik nutq nahīñ hai bahut kuchh hai
hoñToñ se na nikle baat agar āñkhoñ se sunāo kuchh to karo
mahrūm-e-tamannā rahne kā sannāTā khā jā.egā tumheñ
māyūsī ke sakte se bacho aañsū hī bahāo kuchh to karo
sultān ke qasr-e-marmar kā darvāza-e-āhan band sahī
gar toḌ nahīñ sakte us ko zanjīr hilāo kuchh to karo
ai jalte hue ghar ke logo sho.aloñ meñ ghire kyā sochte ho
jab aag bujhānā mushkil hai bāhar nikal aao kuchh to karo
ye khet jo chup haiñ boleñge aur akhuve āñkheñ kholeñge
bārish na sahī bijlī hī sahī kuchh to barsāo kuchh to karo
tufan hai agar ghar ke darpai yun baiTh na jao kuchh to karo
khiDki ke shikasta shishe par kaghaz hi lagao kuchh to karo
insan ke qabza-e-qudrat mein ek nutq nahin hai bahut kuchh hai
honTon se na nikle baat agar aankhon se sunao kuchh to karo
mahrum-e-tamanna rahne ka sannaTa kha jaega tumhein
mayusi ke sakte se bacho aansu hi bahao kuchh to karo
sultan ke qasr-e-marmar ka darwaza-e-ahan band sahi
gar toD nahin sakte us ko zanjir hilao kuchh to karo
ai jalte hue ghar ke logo shoalon mein ghire kya sochte ho
jab aag bujhana mushkil hai bahar nikal aao kuchh to karo
ye khet jo chup hain bolenge aur akhuwe aankhen kholenge
barish na sahi bijli hi sahi kuchh to barsao kuchh to karo
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 155)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.