tufan ka tikha-pan is ke andar hai
tūfāñ kā tīkhā-pan is ke andar hai
dil kyā ye to ik mavvāj samundar hai
naach rahā hai jis ke ishāroñ par sansār
ek madārī hai vo mast qalandar hai
halchal paidā kar rakkhī hai duniyā meñ
go insāñ haiñ asl hamārī bandar hai
khel rahā hai maayā kā albelā khel
machlā machlā man to ek machhandar hai
faqr-o-ġhinā meñ bhī hai zuhūr-e-kaif-e-anā
har darvesh ba-zo’m-e-ḳhvesh sikandar hai
har prānī hai īshvar hī kā rūp-anūp
samjho to saarā sansār ik mandar hai
parbat parbat DhūñD rahā hai jis ko tū
vo jyotī ai jogī tere andar hai
tufan ka tikha-pan is ke andar hai
dil kya ye to ek mawwaj samundar hai
nach raha hai jis ke ishaaron par sansar
ek madari hai wo mast qalandar hai
halchal paida kar rakkhi hai duniya mein
go insan hain asl hamari bandar hai
khel raha hai maya ka albela khel
machla machla man to ek machhandar hai
faqr-o-ghina mein bhi hai zuhur-e-kaif-e-ana
har darwesh ba-zo’m-e-KHwesh sikandar hai
har prani hai ishwar hi ka rup-anup
samjho to sara sansar ek mandar hai
parbat parbat DhunD raha hai jis ko tu
wo jyoti ai jogi tere andar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.