Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tufan ki sazishon ko ye jaanta nahin hai

Sabir Naseerabadi

tufan ki sazishon ko ye jaanta nahin hai

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    tūfāñ sāzishoñ ko ye jāntā nahīñ hai

    is nāḳhudā ko ab tak sāhil milā nahīñ hai

    barbādiyoñ apnī shikva bajā nahīñ hai

    ā.īna be-sabab to mailā huā nahīñ hai

    jin tajalliyoñ se thiiñ mahfileñ munavvar

    ab un ke jhoñpaḌoñ meñ raushan diyā nahīñ hai

    haivāniyat haadī shaitāniyat pairau

    ye chaudhvīñ sadī insān kyā nahīñ hai

    jiine aarzū meñ kyā kuchh talab thī apnī

    jiine aarzū meñ kyā kuchh milā nahīñ hai

    rāh-e-najāt sab ko nikle haiñ vo dikhāne

    ḳhud apne aap bhī jin ko patā nahīñ hai

    'sābir' se be-sabab hai kyoñ bad-gumāñ zamāna

    maanā ki talḳh-rū hai dil burā nahīñ hai

    tufan ki sazishon ko ye jaanta nahin hai

    is naKHuda ko ab tak sahil mila nahin hai

    barbaadiyon ka apni shikwa baja nahin hai

    aaina be-sabab to maila hua nahin hai

    jin ki tajalliyon se thin mahfilen munawwar

    ab un ke jhonpaDon mein raushan diya nahin hai

    haiwaniyat ka hadi shaitaniyat ka pairau

    ye chaudhwin sadi ka insan kya nahin hai

    jine ki aarzu mein kya kuchh talab thi apni

    jine ki aarzu mein kya kuchh mila nahin hai

    rah-e-najat sab ko nikle hain wo dikhane

    KHud apne aap ka bhi jin ko pata nahin hai

    'sabir' se be-sabab hai kyon bad-guman zamana

    mana ki talKH-ru hai dil ka bura nahin hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now