tufan mein bhanwar mein na dhaaron ki god mein
tūfān meñ bhañvar meñ na dhāroñ kī god meñ
Duubī hai merī naav kināroñ kī god meñ
kyā jaane aaj kyuuñ haiñ sitāre dhuāñ dhuāñ
ye kaisī tīrgī hai sitāroñ kī god meñ
bad-nām gulsitāñ meñ ḳhizāñ hī to hai magar
kyā kyā na gul khile haiñ bahāroñ kī god meñ
mausam thā ḳhush-gavār to manzar thā ḳhush-gavār
ab vo kashish kahāñ hai nazāroñ kī god meñ
raftār par bhī qaid thī guftār par bhī qaid
guzrī bhī zindagī to hisāroñ kī god meñ
ai dost dūsroñ kā sahārā to maut hai
ḳhud-dār kab pale haiñ sahāroñ kī god meñ
mizrāb-e-vaqt chheḌe tū 'kausar' sunā.ī de
āvāz gum hai saaz ke tāroñ kī god meñ
tufan mein bhanwar mein na dhaaron ki god mein
Dubi hai meri naw kinaron ki god mein
kya jaane aaj kyun hain sitare dhuan dhuan
ye kaisi tirgi hai sitaron ki god mein
bad-nam gulsitan mein KHizan hi to hai magar
kya kya na gul khile hain bahaaron ki god mein
mausam tha KHush-gawar to manzar tha KHush-gawar
ab wo kashish kahan hai nazaron ki god mein
raftar par bhi qaid thi guftar par bhi qaid
guzri bhi zindagi to hisaron ki god mein
ai dost dusron ka sahaara to maut hai
KHud-dar kab pale hain sahaaron ki god mein
mizrab-e-waqt chheDe tu 'kausar' sunai de
aawaz gum hai saz ke taron ki god mein
- Book : Junoon Ki Aagahi (Pg. 59)
- Author : Kausar Siwani
- Publication : Arshia Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.