tufan se thapeDon ke sahaare nikal aae
tūfāñ se thapeḌoñ ke sahāre nikal aa.e
Duube the burī tarah se baare nikal aa.e
patthar pe paḌī choT sharāre nikal aa.e
be-dard bhī hamdard hamāre nikal aa.e
ab tak koī taskīn kī sūrat nahīñ niklī
din Dhal gayā shaam aa ga.ī taare nikal aa.e
un ko kisī hālat meñ na baḳhshegā kinārā
auroñ ko Dubo kar jo kināre nikal aa.e
dekhe to koī mojaza-e-rabt-e-mohabbat
un āñkhoñ se aaj ashk hamāre nikal aa.e
jo chāho karo aaj se duniyā hai tumhārī
apnā jinheñ samjhā vo tumhāre nikal aa.e
ḳhud mil ga.e us but se mujhe kar ke nasīhat
vaa.iz bhī ḳhudā hī ke sañvāre nikal aa.e
ik aise buzurg aaj 'nazīr' aa ga.e piine
mai-ḳhāne se ham sharm ke maare nikal aa.e
tufan se thapeDon ke sahaare nikal aae
Dube the buri tarah se bare nikal aae
patthar pe paDi choT sharare nikal aae
be-dard bhi hamdard hamare nikal aae
ab tak koi taskin ki surat nahin nikli
din Dhal gaya sham aa gai tare nikal aae
un ko kisi haalat mein na baKHshega kinara
auron ko Dubo kar jo kinare nikal aae
dekhe to koi mojaza-e-rabt-e-mohabbat
un aankhon se aaj ashk hamare nikal aae
jo chaho karo aaj se duniya hai tumhaari
apna jinhen samjha wo tumhaare nikal aae
KHud mil gae us but se mujhe kar ke nasihat
waiz bhi KHuda hi ke sanware nikal aae
ek aise buzurg aaj 'nazir' aa gae pine
mai-KHane se hum sharm ke mare nikal aae
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 281)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.