tufanon se jo ghabra kar baiThe hain
tūfānoñ se jo ghabrā kar baiThe haiñ
lahroñ meñ kashtiyāñ Dubā kar baiThe haiñ
shāyad un ko koī paar lagā degā
sabhī musāfir aas lagā kar baiThe haiñ
sub.h huī to phir se baañg lagā.eñge
bhūke murġhe peT phulā kar baiThe haiñ
jinheñ zarūrat un ko maut nahīñ aatī
vo sab kaale kavve khā kar baiThe haiñ
ūñchā uḌne se pahle kaT jaatī hai
kaTī patang pe muñh laTkā kar baiThe haiñ
chiḌiyāñ haañp rahī haiñ garm muñDeroñ par
bādal sūraj se sharmā kar baiThe haiñ
tufanon se jo ghabra kar baiThe hain
lahron mein kashtiyan Duba kar baiThe hain
shayad un ko koi par laga dega
sabhi musafir aas laga kar baiThe hain
subh hui to phir se bang lagaenge
bhuke murghe peT phula kar baiThe hain
jinhen zarurat un ko maut nahin aati
wo sab kale kawwe kha kar baiThe hain
uncha uDne se pahle kaT jati hai
kaTi patang pe munh laTka kar baiThe hain
chiDiyan hanp rahi hain garm munDeron par
baadal suraj se sharma kar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.