tul-e-shab samne ek hijr ki tanhai hai
tūl-e-shab sāmne ik hijr kī tanhā.ī hai
dil ke bahlāne ko yādoñ kī masīhā.ī hai
dil hai labrez shikāyat se magar kyā kiije
pā-e-ādāb meñ zanjīr-e-shakebā.ī hai
un ke va.ada pe zarā maiñ jo yaqīñ karne lagā
bole ghabrā ke qasam ham ne nahīñ khaa.ī hai
zindagī bhar mujhe aañsū the rulā.e jis ne
chashm-e-tar le ke vo turbat pe mire aa.ī hai
ek shā'ir ke tasavvur se kahāñ chhuptā hai
band āñkhoñ meñ chhalaktī tirī parchhā.ī hai
ruk sī jaatī hai ghaTā kar ke tarashshuh kuchh dam
kis tazabzub meñ hai kyoñ aa ke yahāñ chhā.ī hai
kitnī ummīdoñ se āġhāz-e-safar karte haiñ
zindagī kyā hai faqat fāsla-paimā.ī hai
ham ne sīkhā hai ye nairang-e-zamāna se 'amīr'
na masīhā hai yahāñ aur na masīhā.ī hai
tul-e-shab samne ek hijr ki tanhai hai
dil ke bahlane ko yaadon ki masihai hai
dil hai labrez shikayat se magar kya kije
pa-e-adab mein zanjir-e-shakebai hai
un ke wada pe zara main jo yaqin karne laga
bole ghabra ke qasam hum ne nahin khai hai
zindagi bhar mujhe aansu the rulae jis ne
chashm-e-tar le ke wo turbat pe mere aai hai
ek sha'ir ke tasawwur se kahan chhupta hai
band aankhon mein chhalakti teri parchhai hai
ruk si jati hai ghaTa kar ke tarashshuh kuchh dam
kis tazabzub mein hai kyon aa ke yahan chhai hai
kitni ummidon se aaghaz-e-safar karte hain
zindagi kya hai faqat fasla-paimai hai
hum ne sikha hai ye nairang-e-zamana se 'amir'
na masiha hai yahan aur na masihai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.