Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuT jae to kahin usko bhi chain aata hai

Rasheeda Saleem Seemin

TuT jae to kahin usko bhi chain aata hai

Rasheeda Saleem Seemin

MORE BYRasheeda Saleem Seemin

    TuuT jaa.e to kahīñ us ko bhī chain aatā hai

    dil-e-be-tāb taḌap kar sukūñ paatā hai

    aap aate to Thahar jaate ye lamhe shāyad

    vaqt ko yuuñ bhī guzarnā hai guzar jaatā hai

    is tasavvur se ki shab bhar tirī rah dekheñge

    shaam aatī hai to dil Duub ke rah jaatā hai

    ġham ehsās bhī gumbad sadā ho jaise

    dil se Takrātā hai phir dil meñ palaT aatā hai

    vus.at-e-dīd nigāhoñ muqaddar na banī

    aañkh ke til meñ to 'ālam bhī simaT aatā hai

    ashk thamte haiñ to ho jaatī haiñ āñkheñ ḳhūñ-rañg

    jaañ sañbhaltī hai to dil zabt se mar jaatā hai

    koī nisbat hai tere naam se 'sīmīñ' varna

    yuuñ kisī baat ilzām liyā jaatā hai

    TuT jae to kahin us ko bhi chain aata hai

    dil-e-be-tab taDap kar hi sukun pata hai

    aap aate to Thahar jate ye lamhe shayad

    waqt ko yun bhi guzarna hai guzar jata hai

    is tasawwur se ki shab bhar teri rah dekhenge

    sham aati hai to dil Dub ke rah jata hai

    gham ka ehsas bhi gumbad ki sada ho jaise

    dil se Takraata hai phir dil mein palaT aata hai

    wusat-e-did nigahon ka muqaddar na bani

    aankh ke til mein to 'alam bhi simaT aata hai

    ashk thamte hain to ho jati hain aankhen KHun-rang

    jaan sanbhalti hai to dil zabt se mar jata hai

    koi nisbat hai tere nam se 'simin' warna

    yun kisi baat ka ilzam liya jata hai

    Source :
    • Book : auraq salnama magazines (Pg. 524)
    • Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
    • Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
    • Edition : 1967
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now