Tut kar ab sanwar gaya hun main
Tuut kar ab sañvar gayā huuñ maiñ
is tarah se bikhar gayā huuñ maiñ
jo tire naam kī galī hai vo
us galī se guzar gayā huuñ maiñ
yādeñ terī sameT laayā huuñ
aaj jab se udhar gayā huuñ maiñ
ḳhud mukarnā sikhā diyā us ne
phir kahā ki mukar gayā huuñ maiñ
kal talak jo na kar sakā thā maiñ
aaj vo kaam kar gayā huuñ maiñ
yuuñ kahīñ maiñ nahīñ Thahartā par
tere dar par Thahar gayā huuñ maiñ
Tut kar ab sanwar gaya hun main
is tarah se bikhar gaya hun main
jo tere nam ki gali hai wo
us gali se guzar gaya hun main
yaaden teri sameT laya hun
aaj jab se udhar gaya hun main
KHud mukarna sikha diya us ne
phir kaha ki mukar gaya hun main
kal talak jo na kar saka tha main
aaj wo kaam kar gaya hun main
yun kahin main nahin Thaharta par
tere dar par Thahar gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.