TuT kar gir chuke hain pat bahut
TuuT kar gir chuke haiñ paat bahut
ai ḳhizāñ baḌh ga.ī hai baat bahut
dil samajhtā hai dil kī baat bahut
āñkheñ baaqī murāslāt bahut
bhīgī palkeñ thiiñ sone vaale kī
ghar Tapaktā thā saarī raat bahut
aadmī ban ke ham ko milte haiñ
chalte phirte ajā.ibāt bahut
bojh lagte haiñ ik jahān ko ham
halkī halkī hai kā.enāt bahut
sab ko pyāre hasīn lagte haiñ
apne apne mushāhidāt bahut
haañ usī ne bisāt ulTī hai
khaa.ī rah rah ke jis ne maat bahut
ik tamanna hai muskurāne kī
ġham lagā.e hue haiñ ghaat bahut
kis ne un ko ḳhulūs samjhā hai
dil ko lagtā hai dil kī baat bahut
TuT kar gir chuke hain pat bahut
ai KHizan baDh gai hai baat bahut
dil samajhta hai dil ki baat bahut
aankhen baqi muraslat bahut
bhigi palken thin sone wale ki
ghar Tapakta tha sari raat bahut
aadmi ban ke hum ko milte hain
chalte phirte ajaibaat bahut
bojh lagte hain ek jahan ko hum
halki halki hai kaenat bahut
sab ko pyare hasin lagte hain
apne apne mushahidat bahut
han usi ne bisat ulTi hai
khai rah rah ke jis ne mat bahut
ek tamanna hai muskurane ki
gham lagae hue hain ghat bahut
kis ne un ko KHulus samjha hai
dil ko lagta hai dil ki baat bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.