TuT ke baadal phir barsa hai
TuuT ke bādal phir barsā hai
haa.e vo jis kā ghar kachchā hai
kyuuñ nahīñ uThte paañv hamāre
jab ye rasta ghar hī kā hai
maiñ ne bhī kuchh haal na pūchhā
vo bhī kuchh chup-chup sā rahā hai
manzil manzil diip jale haiñ
phir bhī kitnā añdhiyārā hai
dil meñ uThā kar rakh letā huuñ
paañv meñ jo kāñTā chubhtā hai
ab to ye bhī bhuul gayā huuñ
merā apnā ik chehrā hai
'shabnam' se kyā pyaas bujhegī
jab ḳhud dariyā bhī pyāsā hai
TuT ke baadal phir barsa hai
hae wo jis ka ghar kachcha hai
kyun nahin uThte panw hamare
jab ye rasta ghar hi ka hai
main ne bhi kuchh haal na puchha
wo bhi kuchh chup-chup sa raha hai
manzil manzil dip jale hain
phir bhi kitna andhiyara hai
dil mein uTha kar rakh leta hun
panw mein jo kanTa chubhta hai
ab to ye bhi bhul gaya hun
mera apna ek chehra hai
'shabnam' se kya pyas bujhegi
jab KHud dariya bhi pyasa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.