TuTa hai aaj abr jo is aan-ban se
Interesting Fact
1969
TuuTā hai aaj abr jo is ān-bān se
barsegā kal lahū bhī tire āsmān se
ye kis ke dil kī aag se jalte haiñ bām-o-dar
sho'le se uTh rahe haiñ badan ke makān se
sūraj kī tez dhuup se shāyad amaañ mile
ruktī hai ġham kī dhuup kahīñ sā.ebān se
chehroñ pe gard āñkhoñ meñ nīñdeñ fazā ḳhamosh
sustā rahe haiñ log safar kī takān se
hai apnī apnī tāqat-e-parvāz kā kamāl
matlab kisī ko kyā tirī ūñchī uḌaan se
āḳhir chaTaḳh chaTaḳh ke bikharne lagā huuñ maiñ
Takrā gayā thā raat ḳhud apnī chaTān se
phirte haiñ shahr-e-dard meñ jo be-dilī ke saath
'naqqāsh'-kāzmī haiñ vahī naujavān se
TuTa hai aaj abr jo is aan-ban se
barsega kal lahu bhi tere aasman se
ye kis ke dil ki aag se jalte hain baam-o-dar
sho'le se uTh rahe hain badan ke makan se
suraj ki tez dhup se shayad aman mile
rukti hai gham ki dhup kahin saeban se
chehron pe gard aankhon mein ninden faza KHamosh
susta rahe hain log safar ki takan se
hai apni apni taqat-e-parwaz ka kamal
matlab kisi ko kya teri unchi uDan se
aaKHir chaTaKH chaTaKH ke bikharne laga hun main
Takra gaya tha raat KHud apni chaTan se
phirte hain shahr-e-dard mein jo be-dili ke sath
'naqqash'-kazmi hain wahi naujawan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.