TuTa hua diya hi sahi zindagi to hai
TuuTā huā diyā hī sahī zindagī to hai
sar par hamāre dard kī chādar tanī to hai
bhauñchāl aa rahā hai dishāoñ meñ har taraf
jangal kī baas aaj havā meñ milī to hai
tum pūjte ho jis ko ḳhayāloñ meñ rāt-din
laḌkī vo solah saal kī chhat par khaḌī to hai
mausam ke saath aaj bahaktī chale havā
laġhzīda koñpaloñ meñ abhī tāzgī to hai
paḌhiye 'azīz jaan ke merī nigārshāt
kuchh nudrat-e-ḳhayāl sahī shā'irī to hai
'ḳhātir' kisī ġharīb ko itnā na chheḌiye
TuuTā huā zarūr sahī aadmī to hai
TuTa hua diya hi sahi zindagi to hai
sar par hamare dard ki chadar tani to hai
bhaunchaal aa raha hai dishaon mein har taraf
jangal ki bas aaj hawa mein mili to hai
tum pujte ho jis ko KHayalon mein raat-din
laDki wo solah sal ki chhat par khaDi to hai
mausam ke sath aaj bahakti chale hawa
laghzida konpalon mein abhi tazgi to hai
paDhiye 'aziz jaan ke meri nigarshat
kuchh nudrat-e-KHayal sahi sha'iri to hai
'KHatir' kisi gharib ko itna na chheDiye
TuTa hua zarur sahi aadmi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.